Koi rokey ga miyaan!
Aasmaan sey tou sitaarey bhi giraa kartey hein
Girnay waalon ko uthaao tou bari baat hui,
Yaa ghari bhar ke liye hi sahi
Afsos karo…………….
Aisi baatein hi sunaatey rahey sab
Sadiyoun sey
Sunnay waaley bhi sadaa sar ko hilaatey hi rahey sab
Waqt
Har haal mein barhta raha
Aagey ki taraf
Aur ik waqt
Kisi paer se
Jab saib gira
Koi afsos nahin,
Saib uthaya bhi nahin
Baithey baithey woh bhut door
Kahin jaa puhncha
Soch ki gehri guphaaoun se
Woh jab lout aayaa,
Waqt nai
Us ki hatheli pai
Likkhaa thaa
**
“Newton”
poet: tanhaa tamaa puri
**