Wapsi

ous nay kaha
sun
ayhed nibhanay ki khatir mat aana
ayhed nibhanay walay aksar
majboori ya mehjoori ki thakan say louta kartay hain
tum jao
aur darya darya peyaas bujhaao
jin aankhoun main bhi dooboo
jis dil main bhi utroo
mayree talab awaaz na day gee
laiken jab mayree chahat
aur mayree khawhish ki lau
etnee taiz aur etnee
ounchee ho jaee
jab dil roo day
tab laut aana

Nice............

Nice ....

**
Bichar kar chaand se ek tanha taara
Tumhare bin mera yeh dil bechaara
Kabhi lauto tu yunhi
Waise hi ek baar aana
Hamaari qabr per ek deep laana
Jala ke is mein apni aarzo'oain
Jala ke is mein sare shikwe apne
Keye thay pyar mein jo hum ne waday
Jala dena woh tum sare ke sare
Woh khwahish hum ne jo ek sath ki thee
Woh sare khwab jo mil kar thay dekhay
Woh khushiyaaan
Gham woh jo mil kar sahe thay
Woh sab ke sab waheen per chor dena
Tum aisa karna ke phir laut jaana
Hamaari qabr pe na aansoo bahaana
Tum aisa karna ke phir laut jaana
Magar
Jane se pehle aik pal ko
Palat kar dekhna aur yaad karna
Woh larki
Haan woh ek pagal si larki
Tumhari raah takti thee hamaisha
Tumhee ko yaad karti thee hamaisha
Achaanak
Chor di kyo us ne duniya
Bas ek lamhay ko itna soch lena
Phir apne aanso'oon ko ponch lena
Tum aisa karna ke phir laut jaana
Tum aisa karna ke waapis na aanaa**

:k:

my fav one:love::k:
thanks for sharing:)

zabardast :k:

OOOO hum samjhay Sawera wapiss agaii hay :(

Sawera kahaaaaaaaaaan ho tum zara awaz doooooooooooooo

acha aap kehti hain to pharr laytay hain … chalain phir kabhi sahi

Re: Wapsi

[QUOTE]
Originally posted by Man de Mouj: *
ous nay kaha
sun
ayhed nibhanay ki khatir mat aana
ayhed nibhanay walay aksar
majboori ya mehjoori ki thakan say louta kartay hain
tum jao
aur darya darya peyaas bujhaao
jin aankhoun main bhi dooboo
jis dil main bhi utroo
mayree talab awaaz na day gee
laiken jab mayree chahat
aur mayree khawhish ki lau
etnee taiz aur etnee
ounchee ho jaee
*
jab dil roo day
tab laut aana**
[/QUOTE]

Uss waqt tak HIV kaam dekha chuka hoga

:flower1:

:k: very nice… :flower1:

Re: Wapsi

[QUOTE]
*Originally posted by Man de Mouj: *
ous nay kaha
sun
ayhed nibhanay ki khatir mat aana
ayhed nibhanay walay aksar
majboori ya mehjoori ki thakan say louta kartay hain
tum jao
aur darya darya peyaas bujhaao
jin aankhoun main bhi dooboo
jis dil main bhi utroo
mayree talab awaaz na day gee
laiken jab mayree chahat
aur mayree khawhish ki lau
etnee taiz aur etnee
ounchee ho jaee
jab dil roo day
tab laut aana
[/QUOTE]
Wow...So Deep and Beautiful...Kia kehnay...
Thanks a lot for sharing this MdM...