Wanted!

Guys,

I need a very powerful poem on JUDAI in simple urdu.

do you know any?

**

judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai

judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai
tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai

shikaayate.n bhii kare.n ham to kis zabaan se kare.n
Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaarii hai

[Khataa = mistake]

hamaare jism kii uriyaanat pe mat ha.Nsanaa
ke tum jo o.Dhe hue ho vo ridaa hamaarii hai

[uriyaanat = nakedness/nudity; ridaa = cloak/sheet]

hamaare saamane zebaa nahii.n Guruur tumhe.n
jahaa.N pe baiThe ho tum vo jagaa hamaarii hai

[zebaa nahii.n = does not suit; Guruur = pride]

[jagaa = place(jagah)]

Mil Kar bicharna
Bichar kar mila
aur phir biharna

Asi bhi hotay hai.
tum na mil sakay
zindagi tumary yaad mey riaga gayee
tum sey tho khair ishq tha
khud say bohat gilay raha...

author unknown

more to come..


is qadar musal_sal thii.n shiddate.n judaa_ii kii
aaj pahalii baar mai.n ne us bevafaa_ii kii

varanaa ab talak yuu.N thaa Khvaahisho.n kii baarish me.n
yaa to TuuT kar royaa yaa Gazal_saraa_ii kii

taj diyaa thaa kal jin ko ham ne terii chaahat me.n
aaj un se majabuuran taazaa aashanaa_ii kii

ho chalaa thaa jab mujh ko iKhtilaaf apane se
tuune kis gha.Dii zaalim merii ham_navaa_ii kii

tanz-o-taanaa-o-tohamat sab hunar hai.n naaseh ke
aap se ko_ii puuchhe ham ne kyaa buraa_ii kii

phir qafas me.n shor uTThaa qaidiyo.n kaa aur sayyaad
dekhanaa u.Daa degaa phir Khabar rihaa_ii kii

ahmed Faraz

sowwwy

wow kewl stuff
keep em coming
thanx alot guys
much much appreciated.

----Nai nai si lagti hain ye zindagi----

Nai nai si lagti hain ye zindagi tere aane ke baad.
Gham judai ka khatm kar dega hume tere jaane ke baad.
Har kami ganwara hain sanam, gar saath ho tumhara.
Jaane anjaane ban gaye ho tum jine ka sahara.
Teri yaadon mein doobe huan hain ab subho shaam mere.
Neend to jaati rahi, ab mere khwab bhi ho gaye hain tere.
Zulfo ko raat, chehre ko chaand jab se keh gaye ho tum,
Bheed mein sab se juda aur haseen mujhe bana gaye ho tum.
Yaadon se teri behalta nahi ab dil ye mera.
Such ho jaaye sapna mera agar ban jaaon saaya main tera.