Har khushi hai logoon ke daaman mein
Par ek hansi ke leye waqt nahe
Din raat daurti duniya mein
Zindagi ke leye hi wakt nahe
Maa ki lorieee ka ehsaas tu hai
Per maa ko maa kehne ka wakt nahe
Saare rishtoon ko tu hum maar chuke
Ab unhain dafnaane ka bhi wakt nahe
Saare naam mobile mein hain
Per dosti ke leye wakt nahe
Gairoon ki kya baat karain
Jab apne ke leye hi wakt nahe
Aankhoon mein hai neend bhi
Per sonay ka wakt nahe
Dil hai ghamoon se bhara huwa
PEr ronay ka bhi wakt nahe
Paisoo ki daur mein aise dauray
Ke thaknay ka bhi wakt nahe
Paraaye ehsaasoon ki kya qadar karain
Jab apne sapnoo ke leye hi wakt nahe
Tu hi bata ay zindagi
Es zindagi ka kya hoga
Ke hal pal marne waloon ko
Jeenay ke leye bhi wakt nahe …