wahi log mujh say bichar gaye
Jo khayal the naa qayaas the,
wahi log mujh say bichar gaye
Jo mohabaton ki asaas the wahi
log mujh say bichar gaye
Jinhain mantaa hi nahin yeh dil,
wahi log mere hain ham safar
Mujhe har tarah say jo raas the,
wahi log mujh say bichar gaye
Mujhe lamhe bhar ki rafaqaton ke saraab or satayengay
Meri umar bhar ki jo pyaas the
wahi log mujh say bichar gaye
Yeh khayal sare hain arzee,
yeh gulaab sare hain kaghzi
Gul aarzu kee jo ba-as the,
wahi log mujh say bichar gaye
Jinhain kar saka na qubool main,
woh shareek rah-e-safar huye
Jo meri talab, meri aas the,
wahi log mujh say bichar gaye
Meri dharkanon ke qareeb the,
meri chah the, mera khuwaab the
Woh jo roz-o-shab mere paas the,
wahi log mujh say bichar gaye .
Re: wahi log mujh say bichar gaye
Jinhain mantaa hi nahin yeh dil,
**wahi log mere hain ham safar
han**:(