Wahi dil ki anjuman hay wahi gham kay silsilay hain
teri aarzoo main shyad kisi or say milay hain
kabhi hosh ki tammanna kabhi piar wehshaton say
na karain gay bhi tow kesay teray saat jo chalay hain
unhi wadion main khokar wo bhula chuka hay hum ko
jahan nafraton kay saay muddaton nahi dhalay hain
na badal saka zamana kabhi ishq kay taqazay
wahi manzilan hain yaroon wahi gham kay qaflay hain
koi bat darmian ho kuch tow fesla talab ho
kia batain khan kis ko hum tow shoqia jalay hain