fghd
February 16, 2007, 2:10pm
1
**Chaha Tha Jise Woh Mila Hi Nahi
Lakh Koshish ki Lekin Yeh Fasla Mita Hi Nahi
Khuda Se Jholi Phehla ke Manga Tha Ussay
Khuda Ne Meri Kisi Dua Ko Suna Hi Nahi
Har Aik Se Poocha Us ka Na Milnay Ka Sabab
Har Aik Ne Bataya Woh Tere Liye Bana Hi Nahi
Kitni Shiddat Se Chaha Tha Aur Woh Kisi Aur Ka Ho Gaya
Shayad Is Jahan Mein Wafa Ka Sila Hi Nahi
Mere Humnasheen Mere Humnawah Yeh Dua Hai Gila Nahi
Usay Zindagi Mein Woh Sukoon Miley Jo Mujhe Kabhi Mila Nahi
Poet: Asif ]
**
pk786
February 16, 2007, 2:21pm
2
Re: WAHHHHH :K:
wah emm kya baat hai kis kis word ko praise karoon :) kya baat hai its sad but beautiful:(
fghd
February 16, 2007, 3:44pm
8
Re: WAHHHHH :K:
ehsan:
Buch gaya bechara.
Nice. :k:
Khush Qismat houna thaa us nay
Re: WAHHHHH :K:
Emm ch ch acha wala dhoondhna tha na
PS: ehsan g …ap b mazaq kar laiety
fghd
February 17, 2007, 4:03am
10
Re: WAHHHHH :K:
^ ehsan bhai kabb mazaq nahee kartay
meray tou haath bandhay huwein hain .. warna dainkhna kitna mazaq karti inn kay saath
Nikami: yeh tou Qismat Qismat ki baat houti hai .. jo dil ko pasund aajayee woh acha wala bun jata hai
SheeN
February 17, 2007, 4:05am
11
Re: WAHHHHH :K:
kismat achee thi uss khushnaseeb ki:)
Re: WAHHHHH :K:
batameezouN
nice sharing that reminds me of a verse by Parveen Shakir:
meiri talub thaa ik shakhs wo jo nahi mila tau phir
haath dua se youn gira bhool gaya sawaal bhee
Re: WAHHHHH :K:
Har Aik Se Poocha Us ka Na Milnay Ka Sabab **
**Har Aik Ne Bataya Woh Tere Liye Bana Hi Nahi
Take Heart EMM! remember:
Barri lambi hai zameen
Millain gay lakh haseen
Sari Duniyan mein sannum
**tu akaila hi nahin.......................:) * *
fghd
April 5, 2007, 1:41pm
18
Re: WAHHHHH :K:
kiya baat hai :k:
aisi baat karni hai tou woh sanam tou na huwa
Re: WAHHHHH :K:
Very nice!
woh khatay hain na k:
Na khuda hi mila na wisal-e-sanam
Na idhar k rahay na udher k rahay
Re: WAHHHHH :K:
logi apni post par khudi wah wah horha hai