..... Wafaa Gumaan

GHAZAL

**Is mein dawaa gumaan hai, is mein shafaa gumaan **
**Ye ishq hai k jis mein hai yaaro wafaa gumaan **

**Paaya tujhe to phir bhi na aaya sukooN mujhe **
**Har shakhs par raqeeb ka hone lagaa gumaan **

**KucH is qadar haqeeqatoN se aashna tha wo **
**Main ne kahaa, “milein ge!”, to us ne kahaa, “gumaan!” **

**Ham ko saraab bhi to koi na lubhaa sakaa **
**Tha aaisa kaun jis pe k hota teraa gumaan ! **

**Har soo yahaaN pe talkh haqaa’iq they raah-zan **
**Har gaam, har ik moR pe luT-ta rahaa gumaan **


August 2005

Re: ..... Wafaa Gumaan

What a beautiful piece of poetry..

Simply amazing!!!!

each and every sher is just marvellous!!!

One can certainly relate to many things here....

Zamil Sahib: Keep writing. You are an asset to this place...

Re: ..... Wafaa Gumaan

true one





Re: ..... Wafaa Gumaan

Ham ko saraab bhi to koi na lubhaa sakaa
Tha aaisa kaun jis pe k hota teraa gumaan !


nicee

Re: ..... Wafaa Gumaan

nice

Re: ..... Wafaa Gumaan

cool

Re: ..... Wafaa Gumaan

really nice yaar

Re: ..... Wafaa Gumaan

Saal purani ghazal post kar di , aap logoN ko new poems likhney pe paabandi hey

Re: … Wafaa Gumaan

Khoobsoorat tehreer hey Zamil :k: Thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: ..... Wafaa Gumaan

[QUOTE]

Saal purani ghazal post kar di , aap logoN ko new poems likhney pe paabandi hey

[/QUOTE]

jo saal pehlay nahi thay un kay ley to new hee hay na : )

Re: ..... Wafaa Gumaan

nice gahzal.....zamil gee....

Re: ..... Wafaa Gumaan

wah buhat hi khoob :)

Re: ..... Wafaa Gumaan

*Bohat bohat shukria janab :) *
*Aap ki khush-nazari hai varna ham kya likhte hain jeeeee :) *

Re: ..... Wafaa Gumaan

:)

Re: ..... Wafaa Gumaan

*Thankoo :) *

Re: … Wafaa Gumaan

Ye to wohi baat hui ba-qaul Daagh ;
Yaad aati hai unhein dam-ba-dam ik baat naee
Roz aata hai mere khat ka jawaab eik par eik
:blush:
**Thanx alottt for liking :slight_smile: **

Re: ..... Wafaa Gumaan

Jis ne pehle nahi paRhi us k liye to naee hi hui na mohtarma. Jo bhi lafz kaaghaz pe likh dia wo puraana ho jaata hai agle lamhe. Agar puraani shaairy pasand nahi to phir is dunia mein jitni bhi kitaabein, jis bhi shaair ki hain, un sab ko jalva dijiye.
Waise date mention karne se likhe hue k naye ya puraane hone ka pata nahi chalta coz date ghalat bhi ho sakti hai. Aur jo jis k haal pe poora utre, us k liye wohi naya hai.
Thanx for visiting.

Re: … Wafaa Gumaan

BaRi nawaazish janaab :slight_smile:

Re: ..... Wafaa Gumaan

Thanx Maham g :)

Re: ..... Wafaa Gumaan

Bohat hi shukria :) :)