wafa

**Wafa ki Aarzoo karna
Safar ki justujoo karna

Jo tum mayoos ho jaao
Tou mujh se guftugoo karna

Ye aksar ho bhi jaata hay
K koi kho bhi jaata hay

Muqaddar ko sataao gay
Tou phir ye so bhi jata hay

Agar tum hosla rakho
Wafa ka silsila rakho

Jisey tum apna kehtay ho
Tou us se raabta rakho

Main ye daavy se kehta hon
Kabhi naakam na hogy

Mohabhat ko samajh jaao
Kabhi badnaam na hogay**

Re: wafa

**Jo tum mayoos ho jaao
Tou mujh se guftugoo karna

**nice.. psychiatrist?

Re: wafa

*Mohabhat ko samajh jaao
Kabhi badnaam na hogay
*

maiN to samajhtaa thaa k:

badnaam hoNge to kia naam na hogaa?

Re: wafa

ab tak kon samjha hai mohaabbat ko

Re: wafa


Jigar Muradabadi ko pataa thaa:**

ik lafz-e-moHabbat kaa adnaa saa fasaana hai
ik aag kaa daryaa hai aur Dooooob ke jaanaa hai! :)**

Re: wafa

yeh mohabbat bhi ek naiki hai
aao darya meiN daal aate haiN
:cb:

Re: wafa

Naiki ker derya mae daal

baadd mae wo kishtiyaan ban ker tufaan mae kaam ayein gi

shair bhool gayi :frowning:

Re: wafa

Muhabbat hath Main Pehni Hoi Choori Ki Maanind Hai...
Sanwarti Hai, Khanakti Hai, Khanak Kar Toot Jati Hai...!!!

Re: wafa

:lajawab:

:welcome:

Re: wafa

cheers mate !

Re: wafa

Welcome :phati:

asia karein bara wala kara kerlien steal ka wo nahi tootta :hehe:

Re: wafa

agar kara pehan lia to ashiq kam aur faqeer ziada lago ga :slight_smile:

Re: wafa

aya poetry ke der pey deewanaa :p

Re: wafa

Hmmm

Re: wafa

aashiq aur faqeer mein bhi 19-20 ka faraq hota hai