Kahan karoon shikaayat, kiski doon duhaai.
Thak gayee hai saansey,ubi hai zindagi,
Aye khuda mujhey, teri duniya na raas aayee.
Umar bhar gairon ke to saath chala hoon,
Ab to bojh lagti hai apni hi parchaayee.
Uf ye kaisa shor hai,ye kaisi hai basti,
Band karo ye jalsa, baksho mujhey tanhaai.
Door tak hai sanatta, phaila hai andhera,
Ye aaj kis mod par, kismat mujhey le aayee.
Mainey ki mohabbat, kya ye meri khata hai,
Chaha poochna ussey, par main na pooch paya.
Ishq karney ki sazaa, sirf maut honi payee,
Aur mein ne mar mar ke, jeeney ki saza payee
Hasta la vista, baby