**Wafa ruswa nahi kerna,
Suno! aisa nahi kerna
Main pehlay hi akaila hon
Mujhey tanha nahi kerna
Meri in ankhon ko
Kabhi sehra nahi kerna
Judai bhi jo aa jaya
To dil choota nahi kerna
Bharoosa bhi zarori hay
Magar sab ka nahi kerna
Muqaddar phir muqadar hay
Kabhi daawa nahi kerna
Jo likha hay zaroor hoo ga
Kabhi shikwa nahi kerna…!**
jiia
2
Re: Wafa ruswa nahi kerna,

aap apni choice apni unko perhaty hein 
Re: Wafa ruswa nahi kerna,
Yehi to rona hy k Usko Poetry sy koi khass raghbat nhi…
Re: Wafa ruswa nahi kerna,
:k:
Diva
5
Re: Wafa ruswa nahi kerna,
Mein bhi akeli hun btw ;)
Re: Wafa ruswa nahi kerna,
Waqi … 
Re: Wafa ruswa nahi kerna,
**Main pehlay hi akaila hon
Mujhey tanha nahi kerna
akela aur tanha? whats the difference?
**