Wafa Ruswa nahi Karna Suno Aisa nahi karna,
Mien Pehley he akela hoon mujhey tanha nahi karna
Judai bhee jo aa jaye to dil chota nahi karna
Bohot masroof hoon jana mujhey socha nahi karna
Bharosa bhee zaroori hey magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hey kabhi dawa nahi karna
Jo likha hey wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum sey hey mujhey aadha nahi karna
Haqeekat hey Milan apna isey sapna nahi karna
Hamein tum yaad rehtey ho hamein bhoola nahi karna<?xml:namespace prefix = o ns = “urn:schemas-microsoft-com:office:office” /><o:p></o:p>
Re: Wafa Ruswa nahi Karna Suno Aisa nahi karna,
:k:
Re: Wafa Ruswa nahi Karna Suno Aisa nahi karna,
nice poem.
yet really, mukader and dawe may not be in the hands of humans totally.
but Allah can help along the honest ones in doing things that their jearts and mind tuly want them to do.
dushwari
Re: Wafa Ruswa nahi Karna Suno Aisa nahi karna,
Meri thread ka jawab dey rehey ho?
Tum rooth jao mujse
aisa kabi na karna
main ik nazar ko tarsoon
aisa kabi na karna...
main pooch pooch harun,
so so sawal kar k,
tum kuch jawab na do,
aisa kabi na karna.....
mujse hi mil k hansna,
muj say he mil k rona,
mujse bicher k jee lo,
aisa kabi na karna...
tum chaand ban k rehna,
main dekhta rahun ga,
kisi roz tum na niklo,
aisa kabi na karna....
tum chalay jao jab b tou dekhoontumhara rasta,
tum lout k na aao,
aisa kabi na karna.....
ok achi poem hai. Jawab to diya tum ne.