***Wafa mein ab***

*Wafa mein ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai.. *
*Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai.. *
**
*Yeah tujh ko jagtay rehnay ka shoq kab say howa ? *
*Mujhay tu khair tera intazaar karna hai *
**
*Hawa ki zud mein jalanay hain ansoon kay chiraagh *
*Kabhi yeah jashan sar rah’guzaar karna hai *
**
*woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya *
*Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna hai *
**
*Misaal e shaakh e barahna khizan ke rut mein kabhi *
*Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai *
**
*tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay *
*Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai *
**
*Chaloo yeh ashak hee moti samajh kay baich ayain *
*Kissi tarhaan tu humain roz’gaar karna hai *
**
*Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon *
*Qaba samajh kay badan taar taar karna hai *
**
*Khuda khabar yeh koi zid keh shoq hai mohsin *
*Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai *

Very Nice Elaaf..:k:

Re: Wafa mein ab

hmmm thanx Aryaan....

Re: Wafa mein ab

Bahut khoob …:k:

Re: Wafa mein ab

nice sharing , keep it up

Re: Wafa mein ab

thanx....Amarbail n Sannan..

Re: Wafa mein ab

Boht khub....

Re: Wafa mein ab

:k:

Re: Wafa mein ab

Ever green ghazal i like it :k:

Re: Wafa mein ab

thanx frendz n moderater....