wafa main ab yeh hunar!!!!!!

Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai

Hawa kI zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah’guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswasoon mein daal geya
Khayaal tha ke ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Ke shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz’gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai

[quote]
Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
[/quote]

beautiful :)

Re: wafa main ab yeh hunar!!!!!!

wah g wah very nice :)

Re: wafa main ab yeh hunar!!!!!!

bohat khub ...!!

Re: wafa main ab yeh hunar!!!!!!

jiyo pk...jeetay raho dost..kia zabardast shairi hai..thank u

Re: wafa main ab yeh hunar!!!

old but awsum :k: thx for recallin dix gr8 ghazal !

Re: wafa main ab yeh hunar!!!!!!

excellent

Re: wafa main ab yeh hunar!!!

awesome sharing :k:

Re: wafa main ab yeh hunar!!!

Beautiful PK..:k:

thank u ver much for liking everyone…

ab aap itney old ho tu main kya kar sakti hoon :stuck_out_tongue: :barbie:

JEETAY :eek:

Re: wafa main ab yeh hunar!!!!!!

itni dukhii poetryyy ....:)