**Wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap
Woh mere dil ki deewarain hila gaya chup chap
Ghum-e- hayat ke tapte hoye bayaban mein
Humain woh chor ke tanha chala gaya chup chap
Najane koan sa woh badnaseeb lamha tha
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chap
Mein jis ko chhota hon Ishrat woh zakham dayta hai
Woh phool aisy chaman mein khila gaya chup chap
Wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap
Woh mere dil ki deewarain hila gaya chup chap**
Re: Wafa ke wade…
Dua ki soorat mein Us ki khaatir…
Jo mere honto’n se lafz nikley..
Jo meri Aankho’n se ashk nikley..
Un hi k badley mein Aey Khudaya!!
Jab bhi Us ka naseeb likhna..
Urooj likhna..
Kamaal likhna..
Kabhi na Harf-e-Zawaal likhna…
Re: Wafa ke wade…
***zindagi k melay mein khuahishon k relay mein,
tum say kya kahain jana is kadar jhamailay mein
waqt ki rawani hai bakht ki garani hai,
sakh be zameeny hai sakht la makani hai
hijer k samander mein,
takht aur takhtay ki aik hi kahani hai
tum ko jo sunani hai baat go zara c hai
baat umer bhar ki hai!!!
umer bhat ki baatain kab do ghari mein hoti hain
derd k samander mein un ginat jazeeray hain,
be shumaar moti hain.
aankh k dareechay mein tum nay jo sunaya tha,
baat us us diye ki hai
baat us gilay ki hai
jo lahoo ki khalwat mein chor ban k aata hai,
lafz ki faseelon paer toot toot jata hai
zindagi say lambi hai baat ratt jagay ki hai
rastay mein kesay ho baat takhliye ki hai!!
takhliye ki baatoon main guftagu izafi hai
pyar karnay waloon ko ik nigah kafi hai..***
Re: Wafa ke wade…
ajeeb karb ka aalam hai meri basti par
ghata bhi chai hai barsat bhi nahi hoti
silay hain hont koi baat bhi nahi hoti
ajeeb rang badalta hai asar ka soraj
ke sham khafa hai aur raat bhi nahi hoti
main us ki zaat ka hisa bhi ban nahi sakta
juda us se magar meri zaat bhi nahi hoti…
NihalK
February 12, 2011, 10:44am
5
Re: Wafa ke wade…
Cool!!! Real nice collection you too.
IS
February 12, 2011, 2:51pm
8
Re: Wafa ke wade…
**Wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap
Woh mere dil ki deewarain hila gaya chup chap
Ghum-e- hayat ke tapte hoye bayaban mein
Humain woh chor ke tanha chala gaya chup chap
Najane koan sa woh badnaseeb lamha tha
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chap
Mein jis ko chhota hon Ishrat woh zakham dayta hai
Woh phool aisy chaman mein khila gaya chup chap
Wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap
Woh mere dil ki deewarain hila gaya chup chap**
one of my very fav. ghazal
thanks for sharing