Wafa k waday wo saray bhula gaya chup chaap
wo mere dil ki deewarein hila gaya chup chaap
ghum-e-hayat k taptay huay bayabaan main
humhian chor k wo tanha chala gaya chup chaap
na janay wo kon sa badnaseeb lamha tha
jo ghum ki aag main mujh ko jala gaya chup chaap
main jis ko chohti hon wo zakham daita hai
wo phool aisai chaman main khila gaya chup chaap…***
