**Wafa ke waaday woh saaray bhula gaya chup chaap
Woh mere dil ki dewaarain hila gaya chup chaap…
Gham-e-hayyat ke taptay huwe bayaabaan mein
Humein woh chor ke tanha chala gaya chup chaap
Na jaane kaun sa woh badnaseeb lamha thaa
Jo gham ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap
Mein jis ko choota hoon ‘Ishrat’ woh zakhm deta hai
Woh phool aise chamman mein khila gaya chup chaap…**
Lamhay
2
Re: ~Wafa ke waaday~
[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
**Wafa ke waaday woh saaray bhula gaya chup chaap
Woh mere dil ki dewaarain hila gaya chup chaap...
Gham-e-hayyat ke taptay huwe bayaabaan mein
Humein woh chor ke tanha chala gaya chup chaap
Na jaane kaun sa woh badnaseeb lamha thaa
Jo gham ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap
Mein jis ko choota hoon 'Ishrat' woh zakhm deta hai
Woh phool aise chamman mein khila gaya chup chaap...**
[/QUOTE]
wah bahut khoob !
Re: Re: ~Wafa ke waaday~
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
wah bahut khoob !
[/QUOTE]
Thanks Lamhay