Wafa ke naam pe mitnay ki ab baatain nahee hoteen
Jo dil ko moh laiti theen, woh zaatain ab nahee hoteen
Chali yeh kaun si baad-e-mukhalif kya huwa ab ke
Jinhain hum rat jagay kehtay hain ab raatain nahee hoteen
Na jazba hai na dil apna na ehsaas-e-murawwat hai
Jo dil ko dil se hoti theen woh ab rahatain nahee hoteen
Kisi ke rooth jane per kisi ko khoo ke panay per
Bahut hoti theen ashkoon ki woh barsaatain nahee hoteen
Kabhi hum mil ke chuptay thay kabhi hum chup ke miltay thay
Milan tu ab bhi hota hai mulaqattain nahee hoteen…
Insaan khata ka putla hay .. yeh zara dhang ki pasting hay
:k:
Bohat khoob Amarbail...
eik shair arz hai,
Chiragh-e-shab tha ya aaftaab, na dil samajh saka na maiN
Wo taabeer thi ya mehz khuwaab na dil samajh saka na maiN
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Bohat khoob Amarbail...
eik shair arz hai,
Chiragh-e-shab tha ya aaftaab, na dil samajh saka na maiN
Wo taabeer thi ya mehz khuwaab na dil samajh saka na maiN
[/QUOTE]
I wanna complete it WG...
Chiragh-e-shab tha ya aaftaab na dil samajh saka na mein
Wo taabeer thi ya mehz khuwaab na dil samajh saka na mein
Wo nazar jo tamaam umar jhuki jhuki hi rahi
Merey liye thi betaab na dil samajh saka na mein
Sab se anjaan apni hi dhun mein khoya khoya sa magar
Wo tha khuli kitaab na dil samajh saka na mein
Wo jaan-e-mehfil jo mujh se ghaafil par meri hi amad ka
Rakhta tha barha hisaab na dil samajh saka na mein
Meri talkhiyun ko sehna merey tanz pe muskuraana
Wo shakhs tha la jawaab na dil samajh saka na mein...
wow zabardast
Kisi ke waday pe kyon aitbaar hum ne kiya
Na aane waloon ka kyon intezaar hum ne kiya
Na woh hamaare huwe aur na hum apne rahay
Muhabatton ka ajjab karobaar hum ne kiya
meray dil ki baat cheen li amazing shair!
Muhabatton ka ajjab karobaar hum ne kiya
karobaari hazarat mohabat say perhaiz karain