*** Wafa ka ahed tha dil ko sambhalnay k liay***
Wo hans paray mujhay mushkil mein dalnay k liay
Bandha hoa hai, baharoon ka ab wohi tanta
Jahan ruka tha main kantay nikalnay k liay
Koi naseem ka naghma, koi shameem ka raag
Fiza ko amn k qalib mein dhalnay k liay
Khuda na karay, zameen paaoon se agar khiski
barhain gay tund bagolay sambhalnay k liay
Utar paray hain kidhar se ye aandhiun k jaloos
Sumandroon se jazeeray nikalnay k liay
teri saleeqa tarteeb nao ka kia kehna
hameen thay qarya dil se nikalnay k liay
Kabhi hamari zaroorat paray gi dunya ko
Diloon ki barf ko sholoon mein dhalnayk liay