~*~ Wafa hai zaat aurat ki ... Rawwayat torr di us ne ~*~

Woh aksar mujh se kehti thee
Wafa hai zaat aurat ki
Magar jo mard hotay hain
Bahut be-dard hotay hain
Kisi bhanwray ki surat
Gul ki khushboo loot jaatay hain
Suno! tum ko qasam meri
Rawayyat torr dena tum
Na tanha chor kar jaana
Na yeh dil torr kar jaana
Magar phir yun huwa Mohsin
Mujhe anjaan rastay per
Akela chor kar us ne
Mera dil torr kar us ne
Muhabbat chorr di us ne
Wafa hai zaat aurat ki
Rawayyat torr di us ne …

Re: ~~ Wafa hai zaat aurat ki ... Rawwayat torr di us ne ~~

Nice :-)

Re: ~~ Wafa hai zaat aurat ki … Rawwayat torr di us ne ~~

:k:

Re: ~~ Wafa hai zaat aurat ki ... Rawwayat torr di us ne ~~

zabardast Arif sahab ap ki choice ka jawab nahi!

Re: ~~ Wafa hai zaat aurat ki ... Rawwayat torr di us ne ~~

Thank you all for liking and for your appreciation !

Re: ~~ Wafa hai zaat aurat ki ... Rawwayat torr di us ne ~~

BAUT HI UMDA SHARING