[quote]
Originally posted by 2629:
*Kissee kay waaday pay kyun aitebaar hum nay kiya,
Na aa'nay walon ka kyun intezaar hum nay kiya
Na woh humaray hu'ay, aur na hum apnay rahay
Mohabaton ka ajab karobaar hum nay kiya.
Woh khel khel rahay thay, woh khel khel chukay,
Khata humaree thee, kyun unn say pyar hum nay kiya.
*
[/quote]
Keh gaye hain yeh…
muhabbat karne wale
Muhabbat ki nahin jaati
Muhabbat to ho jaati hai
Muhabbat mein agar…
Muhabbat na mile
To shikayat kaisi
Muhabbat karne se pehle…
Muhabbat paane ki …
SharT rakhi nahin jaati