Wabasta Hein

Sirf ik yaad se wabasta hein
dil nashen harf, maah taab khayaal
shabnami oass mein dubi kalyaan
aur khushboo mein basay saare sawal
jhilmilatay se sard paani per
ik mukammal si adhoori tehtreer
aur ankhon k nihan khaanon se
jhankti aik dil nasheen tasveer
sirf ik yaad se waabasta hein
roz-o-shab,shaam-o-sehar,maah-o-saal
jitnay mausam hein unka husn-o-jamal
chandni raat ka tilism kada
sirf ik yaad se mehakta hai
haan teri yaad jisnay bakhsha hai
saray aalam ka mujhko ranj-o-malaal
per yeh majboori-e-dil kya keejay
phir bhi rehta hai humko tera khayal
aur teri yaad se wabasta hein
ik teri yaad se waabasta hein!

as usual MAHEEN bahut acchay :K:

Re: Wabasta Hein

A wonderful work Maheen :k:
Yaadein zaalim hotee hain…unke zulam se Allah hee bachaye..
Meree duaein tumhare liye chiraagh haathon mein liye, teree hee dahleez pe kharee hain…

:flower2: Very nice :flower2:

thanx baba capri n everyone

:clap: