Ay kaash dil-e-nadaan aisa na kiya hota
Pyar kiya hota sauda na kiya hota
**
Waadaa wafa ka hum ne kis morr pe hai torra*
Hanstay kisi chamman ko weeraan kar ke chorra
Masoom kisi dil ko dhoka na diya hota
Pyar kiya hota sauda na kiya hota …
Khwaaboon ke aasheyaan pe bijjli giraee hum ne
Daulat se muhabbat ki qeemat lagaee hum ne
Nelaam mein huwa thaa dil tu na bikka hota
Pyar kiya hota sauda na kiya hota …
Ay kaash dil-e-nadaan aisa na kiya hota
Pyar kiya hota sauda na kiya hota …*