داغ دہلوی vs غالب

.

Re: داغ دہلوی vs غالب

Lovely sharing IS.

Re: داغ دہلوی vs غالب

**Ghalib
**
Ye na thi hamari qismat, k visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte, yehi intezaar hota

Tere waade par jeye hum, to ye jaan jhoot jana
K khushi say mar na jaate, agar aitbaar hota

Rug-e-sung say tapakta, wo lahoo k phir na thumta
Jese ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota

Kahoon kiss se main ke kya hai, shab-e-ghum buri bala hai
Mujhay kya bura tha marna, agar aik baar hota

Huwe mar k hum jo rusva, huwe kyun na gharq-e-darya
Na kabhi janaza uth’ta, na kahin mazaar hota

Ye masail-e-tasav’vuf, ye tera bayan “Ghalib”
Tujhay hum wali samajhte, jo na baada khuwar hota


**

Daagh
**
Ajab Apna Haal Hota Jo Wisaal-e-Yaar Hota
Kabhi Jaan Sadqay Hoti, Kabhi Dil Nisaar Hota

Jo Tumhari Tarhan Tum Se Koi Jhotay Wade karta
Tum He Mansafi Se Kah Do, Tumhain Aitabaar Hota?

Ye Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Barabar Aag Lagti
Na Tujhy Qarar Hota, Na Mujhy Qarar Hota

Na Maza Hay Dushmani Main, Na Hay Lutf Dosti Main
Koi Gher Gher Hota, Koi Yaar Yaar Hota

Tere Wade Par Sitamgar! Abhi Or Sabar Karty
Ager Apni Zindagi Ka Hamain Aitabaar Hota

Re: داغ دہلوی vs غالب

آخر انسان ہوں میں صبرو تحمل کب تک

سینکڑوں سُن کے بھی، دو چار کہوں یا نہ کہوں؟

:D

Re: داغ دہلوی vs غالب

Irshaad Irshaad :)

Re: داغ دہلوی vs غالب

mai ne app k shair ko thora mazeed wazya kar diya :@:

Re: داغ دہلوی vs غالب

Irshad mairay dost ka naam bhi hay aap kay dost ka naam bhi yahi hay kia :sunnyboy:

Bara Kamal kar dia :@:

Re: داغ دہلوی vs غالب

Hamari Masi ka naam hai.. :cobra:

Re: داغ دہلوی vs غالب

aap se ye kamal ho nai paya is laiye main ne socha k main e kar don :@: