**Voh shaakh hai na phool agar titliyaaN na hooN
voh ghar bhee ko^ee ghar hai jahaN bachiyaaN na hooN
PalkooN say ansoo^ooN ki mehek aani chahiyay
khali hai aasmaan agar badliyaaN na hooN
Dushman ko bhee Khuda kabhee aisa makaaN na day
Taza hava ki jis meiN kaheeN khirkiyaaN na hooN
MaiN poochta hooN mayree gali meiN voh aa^ay kiyuN
jis dakiyay kay paas tayree chithiyaaN na hooN
**