Voh mujh ko maut ki aahoon mein bhi Pukaaray ga

Voh mujh ko maut ki aahoon mein bhi Pukaaray ga
Jab tak rahi gee baaki saans! mujh ko chahay ga

Jis tarah mehak ! uthti hai ! Baarish mein Bahaar
Dil Yeh kahta hai mera kay voh aaey ga

Zoq ko banay kay shoq meray laey ga
Aajey jo ek baar phir na Jaey Ga

Ek aag tapti hai kab say seenay mein
Muhabbat jo nichaavar, sab bujhaey ga

Voh meri Rooh meri Pyaas-Aas bhi Sajaaey ga
mein to huun Mahve-e-Madhosh , jagaey ga

Usi ki iBaadat ban jaey kaam apna
Ek mandar-e- tameer ! khud Banaey ga

Yun to hai butparasti GUnaah! Gunaah hi sahi
teri khaatir dil voh aag bhi sah jaey ga

Mujh ko maloom - voh nahin aaey ga
dil to hai dil - Umeed kiey jaey ga

Umr jaanay kahaan ja kar khatam ho ni hai
Dil - ek khayaal hi sahi . Zindagi Bahlaey Ga.

Voh mujh ko maut ki aahoon mein bhi pukaaray ga
Jab tak rahi gee baaki saans mujh ko chaHay ga

Bohat Khoob :k:

Nice1 :k:

dil tu hai dil, umeed kiey jaaey ga.....

nice :-)