vo thakaa huaa merii baahon mein zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa
abhii main ne dekhaa hai chaaNd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa huaa
jise le ga_ii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa
kahiin aaNsuon se miTaa huaa kahiin aaNsuon se likhaa huaa
ka_ii miil ret ko kaaT kar ko_ii mauj phuul khilaa ga_ii
ko_ii pe.D pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas kha.Daa huaa
mujhe haadason se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehandiyon se rachaa huaa
vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honTo.n ke chaaNd the
kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa
vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
magar us dariiche se puuchhanaa vo daraKht anaar kaa kyaa huaa
mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa
[Bahir Badar]