vo thakaa hu’aa merii baahoN meN zaraa so gayaa thaa to kyaa hu’aa

vo thakaa hu’aa merii baahoN meN zaraa so gayaa thaa to kyaa hu’aa

abhii maiN ne dekhaa hai chaaNd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa hu’aa

jise le ga’ii hai abhii havaa vo varq thaa dil kii kitaab kaa
kahiiN aaNsuoN se miTaa huaa kahiiN aaNsuoN se likhaa hu’aa

(varaq : page)

ka’ii miil ret ko kaaT kar ko’ii mauj phuul khilaa ga’ii
ko’ii peR pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas khaRaa huaa

(mauj : wave)

mujhe haadisoN se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehndiyoN se rachaa hu’aa

vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate hoNThoN ke chaaNd the
kisii bhuule-bisre se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa hu’aa

(taaq : shelf; tah-e-gard : under the dust)

vahiii shah’r hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
magar us dariiche se puuchnaa vo daraKht anaar kaa kyaa hu’aa

(laan : lawn; dariichaa : window; daraKht : tree)

mere saath jugnuu hai ham-safar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG ko’ii charaaG hai na jalaa hu’aa na bujhaa hu’aa

(sharar : spark; bisaat :worth)

Bashir Badar

Re: vo thakaa hu’aa merii baahoN meN zaraa so gayaa thaa to kyaa hu’aa

very nice.

Re: vo thakaa hu’aa merii baahoN meN zaraa so gayaa thaa to kyaa hu’aa

Bashir Badar knows how to write ghazal. Thanks for sharing.