~~~*** Vo shakhs ***~~~

Meray liay to harf-e-dua ho gaya vo shakhs
saray dukhon kee jaisay dava ho gaya vo shakhs

meen aasman pay tha to zameen kee kashih tha vo
utra zameen par to hava ho gaya vo shakhs

meen us ka hathh dekh raha tha kay daf-a-tan
simat simat kay rang-e-hina ho gaya vo shakhs

phirta hay lay kay aankh ka kashkol dar badar
dil ka bharam toota to gada ho gaya vo shakhs

yoon be naheen kay pass hay meray vo hum-nafs
ya bee galat kay mujh say juda ho gaya vo shakhs

parhta tha meen namaz samjh kay ussay rasheed
phir yoon hoa kay mujh say qaza ho gaya vo shakhs

:)

bohat khoob :)

:k:

very nice :k:

beautiful:k::k:

DJ_Aqua..
Heart hacker..
Sunny boy...
chand chehra
Ghazal kisi ke

Thanks to all.