Jahan hum se tum mile the,vo mukaam yaad aaya..
ekraar-e-mohabbat ka vo paigaam yaad aaya…
Teri chasham-e-numa ne, jhuk kar ki thi jo waqt-e-rukhsat..
mujhe aaj fir kasam se,vo salaam yaad aaya…
Yaad aaya vo maikhana,teri sharbati aankho ka..
jin hontho se di thi,vo jaam yaad aaya…
ji to chahta hai, bhool jaoon tujhe..
par afsaana-e-shabe gam, subho-shaam yaad aaya…
jahan hum se tum mile the,vo mukaam yaad aaya…