Koyal
1
*
ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahuN
maiN tujh ko chu sakuN to Khuda jaane kiya kahuN
lafzoN se un ko pyaar hai mafhuum se mujhe
vo gul kaheN jise maiN teraa naqsh-e-paa kahuN
ab justaju hai teri jafaa ke javaaz ki
jii chahta hai tujh ko vafaa aashnaa kahuN
tuu chal diyaa to kitane haqa’eiq badal gaye
najm-e-sahar ko marqad-e-shab kaa diya karuN
jab mere muuNh meiN meri zubaaN hai to kyuN na maiN
jo kuchh kahuN yaqiN se kahuN barmlaa kahuN
kiya jaane kis safar pe ravaN huuN azal se maiN
har intahaa ko ek na_ii ibtidaa kahuN
ho kyuN na mujh ko apane mazaaq-e-suKhan pe naaz
Gaalib ko kainat-e-suKhan kaa Khudaa kahuN *
jab mere muuNh meiN meri zubaaN hai to kyuN na maiN
jo kuchh kahuN yaqiN se kahuN barmlaa kahuN
:k: Bohat khoob
Jee zaroor kehiay na barmlaa 
Thanks for the sharing…
Re: vo gul kaheN jise maiN teraa naqsh-e-paa kahuN
very nice :k:
aj kal gul ka boht zikr hoing:D
mazaq kering
btw boht achei koyal jee:)
Daagh
8
Re: vo gul kaheN jise maiN teraa naqsh-e-paa kahuN
bahot khoob koyal jee :k:
is sher ke to kya kehne 
Koyal
10
Re: Re: vo gul kaheN jise maiN teraa naqsh-e-paa kahuN
thanks chand g ..
Koyal
12
spring hai na is leay charon taraf aj kla gul he gul nazar a rahya..
Koyal
15
thanks DJ and welcome in poetry sec ap be gazlin parti hamin yaqeen nahi aaia..
Koyal
17
Re: Re: vo gul kaheN jise maiN teraa naqsh-e-paa kahuN
thanks hamin be ye sher bohat acha laga tha 
Buhat khoob koyal jii :-)