vo chaa.Ndanii kaa badan Khushbuuo.n kaa saayaa hai

vo chaa.Ndanii kaa badan Khushbuuo.n kaa saayaa hai
bahut aziz hame.n hai magar paraayaa hai

utar bhii aao kabhii aasamaa.N ke ziine se
tumhe.n Khudaa ne hamaare liye banaayaa hai

mahak rahii hai zamii.n chaa.Ndanii ke phuulo.n se
Khudaa kisii kii muhabbat pe muskuraayaa hai

use kisii kii muhabbat kaa aitabaar nahii.n
use zamaane ne shaayad bahut sataayaa hai

tamaam umr meraa dam use dhue.N se ghuTaa
vo ik charaaG thaa mai.n ne use bujhaayaa hai