vaqt ik dariyaa hai dariyaa sab bahaa le jaa.egaa

vaqt ik dariyaa hai dariyaa sab bahaa le jaa.egaa
ham magar tinke hai.n ham tinko.n se kyaa le jaa.egaa

ik ajab aashob hai kyuu.n bastiyo.n me.n jalvagar
kyaa ye har insaan se KHauf-e-KHudaa le jaa.egaa

hai to KHurshiid-e-haqiiqat par ba.Daa be-mehr hai
dil se jazbe aa.nkh se aa.nsuu churaa le jaa.egaa

boriye par baiThne kaa lutf hii kuchh aur hai
shahryaar-e-asr is takiye se kyaa le jaa.egaa

har guzargaah-e-tamannaa par bahut sii gard hai
lekin is ko ek hii jho.nkaa u.Daa le jaa.egaa

aafiyat ke daa.ero.n me.n yaar saare band hai.n
ko.ii mausam ko.ii tuufaa.n us se kyaa le jaa.egaa