vaqt-e-safar kareeb hai bistar samet luun
bikharaa hua hayaat ka daftar sameT luun
phir jaane ham mile.n na mile.n ik zara ruko
mai.n dil ke aa_iine me.n ye manzar sameT luun
Gairo.n ne jo suluuk kiye un ka kya gila
phe.nke hai.n dosto.n ne jo patthar sameT luun
kal jaane kaise ho.nge kahaa.N ho.nge ghar ke log
aankhon me.n ek baar bharaa ghar sameT luu.N
sail-e-nazar bhi Gam ki tamaazat se Khushk ho
vo pyaas hai mile to samandar sameT luu.N
‘Ajmal’ bha.Dak rahi hai zamaane me.n jitanii aag
jii chahata hai seene ke andar sameT luun
Re: vaqt-e-safar kareeb hai bistar samet luun
V nice!
Re: vaqt-e-safar kareeb hai bistar samet luun
Bahot achhe sunny ji!
Re: vaqt-e-safar kareeb hai bistar samet luun
:k:

thx 3no kaaaa
Ehsass
6
Re: vaqt-e-safar kareeb hai bistar samet luun
[QUOTE]
sail-e-nazar bhi Gam ki tamaazat se Khushk ho
vo pyaas hai mile to samandar sameT luu.N
[/QUOTE]
nice poetry bro
Re: vaqt-e-safar kareeb hai bistar samet luun
thx man

thx farishta2