Valentine Special - Asli Pari ka Dhaga

Tragic love story reported in very tragic way. yes, its roman Urdu :smack:

Re: Valentine Special - Asli Pari ka Dhaga

yeh kahani nawway [90s] ki dihayee mai karachi kay aik pasmanda ilaaqay korangi sou quarter kay gird ghoomti hai.qabal iskay kahani kay jazbati pehlu ko ujagar kia jaye mai zara sa sou quarter ka tafseeli manzar nama paish kardun.korangi sou quarter sufaid posh tabkay ka har dilaziz qasba gardana jata hai.mukhtaleef auqaat mai chabri waloon ki awazain fizza mai goonjti hain.yahan aurtain baramdi darwazoon mai tangi aik dosray say miskotoon mai magan dekhaye dewain.gharoon ko taqsseem karnay wali deewar kay beecham beech aik khirki ka tasawwur qaim hai.jiskay zariye parhosi aik dosray say daal salan ka tabadla kartay hain.yun parhosiyoon kay darmiyaan aqeedat or mohabbat ka nadir rishta barqaraar rehta hai.VCR pay lagnay wali film ki khushbu puray muhallay mai gardish e amal ka paish khaima sabit hojaye tou bachay joq dar joq us baithak mai dakhil hojatay hain jahan say kisi filmi manzar ki soot arahi.phir yeh ghar aan ki aan is khudaye fouj ko apnay ander aesay samo leta hai jesay unkay apnay jigr tukray hoon.sou quarter mai makano ki chaatain apas mai istarnha say mili hain,agar billi aik chat par charh jaye tou baasani gali kay nukkarh walay makan ki chat par pounch jati hai.har dosri teesri mala par lagi kabootar ki chatri makeen kay shouq ka izhaar e zouq hai.yahan ki galiyaan kafi patli patli hain par bhala ho us maidaan ka jahan thandi thandi hawa ghutan ka ehsaas khatam kardeti hai.aksar bijli janay ki suraat mai bachay is maidan mai pakrhan pakrhai ya phir kho kho kheltay hain.saath saath dil hi dil mai kabhi bijli na anay ki dua bhi kartay jatay hain.magar unki is masoom dua ko ziada tar sharf e qabooliyaat hasil nahi hota.bijli aanay ki surat mai aik zor daar shour machta hai,jis kay baad saray bachay apnay apnay gharoon ki taraf rawan dawan hojatay hain.
khair yeh tou raha sou quarter ka kabhi na ruknay wala tarz e zindagi.jismai jaazbiyat, sukoon, masoomiyat ka unsar numaya hai.nanhi nanhi khuwahishain dil ko tar o taza kiye rakhti hain.wesay tou muhallay mai bohat saray bachay thay magar un mai aik kashif naam ka bhi bacha tha jo diknay mai bhala maloom hota par tabyaatan thora simta simta sa.uski kul kayenaat gali say maidan tak muheet thi.maidan kay dono etraf footbaal kay goal banay thay agarchay ismai goal wala net ghayab tha.bus yun samjheye jesay khamba numa koi cheez gharhi hai.aik taraf bhens ka barha,saath hi chota sa pani ka hous,jahan bhensay pyaas bujhaya karein.dikhnay kay wastay kachra kundi bani thi magar ziada tar kachra bahir hi parha rehta.kharboozay kay parhay chilkay bakriyaan charteen,band thailiyoon pai billiyaan lartin,gali sarhi chanpoon ki hadiyaan kuttay uthaye phirtay,aam ki ghutliyoon par makhiyaan basera kiye rehti.dopehr mai taiz mitti wali hawa ka raqs,shaam main cricket kay shouqeen gaind balla uthaye dhamachowkri mai masroof e amal hojatay.ganji gaind or lakri ka phatta hi yahan kay mutwasit tabkay kay bachoon ka cricket khel tha.kabhi koi gali kay konay pay waterball tou kabhi koi kalay cholay baalti mai baichnay beth jata.atfaal baray shouq say chaar charanay mai zabaan kay chatkharay khareedtay phirtay.kashif subha mai school,dopehr mai siparah,shaam mai tution kay jambhailoo mai para rehta.jesay hi koi fursahat ka lamha maiesaar aata woh seedha khalu ki dukan par pounch jata or apni maan pasand patang ka bhao lagata.
khalu ki dukaan reel dhaga,chamkeeli bail,kaaj button,deegar silaye karhaye ka samaan,bacho ki toffiyan,soonf supari say laba lab bhari thi.aik konay mai unho nai patangayin,saddi maanjha,layee wali chaipi ka saman rakha hua tha.dukaan mai shutter kay bajaye aam sa dou patth wala darwaza nasb tha.jis kay darmiyaan mai bani jheeri say shararti bachay us waqt jhanktay jab khalu ki dukaan quful zada hoti.kashif jabh bhi khalu ki dukaan ka rukh karta us ki nazar dukaan pay lagay tasheeri board par parti jis mai “Asli pari ka dhaaga” uthaye aik pari asmaan ki taraf urhaan bharay jati.bazahir yeh aik haath say rung o roghan kia hua aam sa board tha par najanay kiun woh muskurati hue rooh parwar pari kashif ko bohat haseen o jameel maloom lagti thi.uska dil chahta kay woh bhi uskay saath asmaano ki sair karay,pari apnay hathoon say mazay mazay ki khatt meeth toffiyan,chiggum,jublee khilaye.pari kay nain naqsh abdur rahman Chughtai ki miniature paitings say bai panha mushabaihat rakhtay thay.pehli pehli kajal say labraiz ankhain,gudaaz gudaaz haath,pakeeza eriyaan,saaf shafaf pur noor pindliyaan kashif ko apnay sehr mai jakkarh letin.pari laal rung kay libaas mai malboos sharmeeli uroosa ka roop dharay shaan baan say jalwa afrooz thi.kashif ka dil chahta woh is pari ko aik lamhay kay liye apni bahoon mai bharlay or khoob ro ro kar ussay apni mohabbat ki sachaye ka yaqeen dila dai.aksar shaam kay waqt woh footbaal kay khambay numa goal pay charh kar beth jata, phir maghrib ki azaan honay tak asli pari kay dhagay walay board par nazrain jamaye ankhoon hi ankhoon mai raaz o niyaaz ki batien kia karta.jab kabhi kashif ko mehssos hota aik lamhay kay liye pari muskuraye thi ya usnay salam ka jawab dia hai tou us din kashif ki Eid hoti or woh khushi say phoolay nai samata.
kashif kay kuch shararti dost aksar ghulail say us pari walay board ka nishana letay magar woh tamam pathar pari kay bajaye kashif kay dil pay barastay thay.woh unhay mana karta,unsay khafa hota unki ghulailain tor deta or dil hi dil mai pari say mua’afi mangta.mohabbat mai sung baari hi sachay ashiqoon ka husool hai soch kar apna aap mutmaeen kar leta.aksar auqat board say jharhnay wala zung alood hissa woh kisi tabarruk kay towr pay barhay sambhaal sambhaal kay rakhta.phir waqt bai waqt in maienay khaiz zarroon ko bosa dainay mai mashghool dikhaye dai.mousami barishoon ka aghaz ho chuka tha.din ba din board sawan ki jharhi ki waja say khasta halat mai jata hua nazar araha.kayen hisson say pari ka wajood taqreeban mit ta ja raha tha.is sitam zareefi pay kashif ka dil khoon kay ansoo bahye jata.aik raat garaj chamak kay saath taiz tufani meen barsa.yahan kashif apnay bistar mai khuda say pari walay board ki salamti ki duain karta raha.karb ki halat mai raat bhar karwatain badalta raha or shadeed iztairab ki waja say taiz bukhar ka shikar hogaya.subah kay namodaar hotay hi pehlay lamhay woh barish kay aab say bhari gali mai rasta bananay ki khatir lagi eentoo pay phalangta hua khalu ki dukan par pouncha tou aik qayamat khaiz manzar iska muntazeer tha.kia dekhta hai hai kay pari wala board zameen pay gira parha hai,raat bhar parhnay wali barish ki waja say ab wahan pari ka naam o nishan tak moujood nahi tha.usnay aik nazar aasman par utha kar dali or kanptay hontoon say khuda ki is maslaihat par bashri ehtaijaj kia.bai basi kay aalam mai usnay phoot phoot kay rona shuru kardia,ankhoon say moti kay manind ansoo’on ki larhi jari o sari thi.kashif nay laraztay hatoon say borad ko zameen pay say uthaya or anan fanan chaati say laga lia.agarchay board say risnay wala rung uskay wajood par lag chuka tha magar kashif ki duniya bai rangeen ho chuki thi.khair waqt guzarta gaya ab asli pari kay dhagay ki jaga wahan tasheer ki khatir aik gym walay nay tan saaz [body builder] ka board laga dia.us board ka kashif khud apni ghulail say nishana leta tha.
wasi shah kehtay hain :
“mohabbat kay hazaaro’n rang laakhon istra’aarey hein,kisi bhi rang mai ho yeh mujhey apna banati hai yeh mere dil ko bhaati hai…….”

Re: Valentine Special - Asli Pari ka Dhaga

^ kahani pardh mojhy lag raha hai jaisay isko @KKF nay likha hia....

Re: Valentine Special - Asli Pari ka Dhaga

kiya aisi waise batn thi iss main.. summary please :cadet: in English

Re: Valentine Special - Asli Pari ka Dhaga

Yeh kahani walay kashif ki pari hia

Yeh woh board hai.. jis par Kashif ki pari nay monh kala kiya howa hia…

“mohabbat kay hazaaro’n rang laakhon istra’aarey hein,kisi bhi rang mai ho yeh mujhey apna banati hai yeh mere dil ko bhaati hai…….”


Restored attachments:

Re: Valentine Special - Asli Pari ka Dhaga

dafadoor. ye pari hai. robot kahin ki