Vajpayee Ka Taza Kalaam.......:)

Atal Bihari Vajpayee ka taaza kalaam AFTER AGRA SUMMIT Between Him and Musharraf:

raqeeb-e-roosia choona laga gaya mujh ko
seyasato’n ke naye gur sikha gaya mujh ko

na baat karne ki saugund maine tori thi
mera hee thooka hua woh chata gaya mujh ko

samajh mein aaya mujhe baad us ke jaane ke
woh naach tigni ka kaisa nacha gaya mujh ko

woh Dilli wala tha par taur us ke kaise thei
woh meetha paan samajh ke chaba gaya mujh ko

mila woh nama-baro’n se kuch is adaa se ke bas
mere makaan mein chit woh lita gaya mujh ko

usey bula ke Atal main to khud hee phans baitha
woh yaad doodh chhati ka dila gaya mujh ko