salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hiNge.
aaj ek arsa_haa-e-daraaz ke ba’d maiN apne marHoon vaalid-e-moHtaram kii ek Ghazal pesh-e-Khidmat karne kii jasaarat kar rahaa huN…ummeed-e-qawii hai k aapkii taba’-e-naazuk par baar-e-garaaN na hogii…apnii aaraa se zaroor nawaaziyegaa, ai’n baa’is-e-sad navaazish o karam hogii.
faqat Khaak_nashiiN,
_______KKF
Qit’a:
ik she’r hai jo raunaq-e-maHfil ke liye hai
ik she’r teh-e-dil se hai jo dil ke liye hai
majnuuN kii nigaahoN meN ma’nii kii kamii kia
Lailaa kabhii zaahir, kabhii meHmil ke liye hai
Ghazal:
zindagii Khowaab hai yaa shoGhl hai Khud Khaam abhii
har jagah jaise rahaa jaataa ho kuchh kaam abhii
dekhiye kis ko mile chaak-e-jigar kii taufeeq
jalva-e-gul hai fareb-e-nazar-e-'aam abhii
daad-e-aashuftah_sarii de ke guzar jaa Khaamosh
saKht barham hai mizaaj-e-saHar o shaam abhii
mujh se kahtaa hai koii aur zaraa thak jaauuN
yeh hai manzil to Khud aatii hai teh-e-gaam abhii
duusre dard kaa saamaaN na yeh ho jaaye kahiiN
yeh Gham-e-zeest k hai durd-e-teh-e-jaam abhii
Haq koii terii balandii kaa hai baaqii shaayad
taa’ir-e-fikr ko jumbish hai teh-e-baam abhii
chashm-e-saaqii tujhe kia maHram-e-asraar kare
tuu hai laGhzish meN, chhalaktaa hai tiraa jaam abhii
AApk walid e mohtaram nay koi kitaab bhi publish kervaey thee apnay kalaam per mabni?!?
nahiiN...vo shaa'irii apnii taskeen ke liye kiyaa karte the aur chuN k vo Khalvat nasheen the is liye shohrat se aHtiraaz kiyaa karte the HaalaaN k unke ustaad AsGhar GonDvii aur saathii sho'araa Jigar Muradabadii, Firaq Gorakhpurii aur MajrooH Sultaanpurii dunyaa-e-she'r o suKhan meN apnaa Dankaa bajvaa chuke the. vo donoN aksar israar kiyaa karte the k aap bhii mushaa'iroN meN chalaa kareN magar vaalid saaHab ne aisaa apne liye munaasib nahiiN samjhaa...
...ab ham log koshish kar rahe haiN k unkaa deevaan chhape.