[INDENT]Patharon ke qareeb aaena rakh diya
aik kirchi hua, doosra rakh diya
dil ko khali na hone diya ranj se
jab purana hua, to naya rakh diya
kis ne neendein churaleen meri raat se
kis ne aankhon mein aik rat-jaga rakh diya
aik din tujh ko ghar laut aana to hai
hum ne yunhi nahin dar khula rakh diya
jaane shab , kis ghari yaad utre teri
khuwab ki seerhion pe diya rakh diya
"Uus ki chahat main khud ko kai khat likhe
un ko khola, parha, teh kia, rakh diya"
ishq main jo bhi ujra hamari tarah
naam logon ne us ka “RAZA” rakh diya
[/INDENT]