Sitam woh kartay rahay sabr aazmaanay ko
wajah hameN bhi mili yeh unheN sataanay ko
giri thi barq to naam o nishaaN miTaanay ko
Ataa woh kar gaee shorat GHreeb KHanay ko
daraaz arsaa huaa hay qafas basaanay ko
bhula chukka hooN meN gulshan ko aashiyaanay ko
faraib KHud ko diya hay sukoon paanay ko
ab apna ghar men samajhta hooN qaid KHanay ko
mana raha hoon qafas hee men jashn e barbaadi
wajah chahiye koee to muskuraanay ko
uThhay job bhook kay sholay jhulas gaya eemaan
zameer baich kay laya hoon aaj khaanay ko
faraiftah heN woh mujh per yeh ho nahiN sakta
yeh baat youn hee kahi hogi dil lubhanay ko
ajal nay aah o buka say najaat di mujh ko
mayray nah honay say raahat hue zamaanay ko
suna nahiN hai.! kay hai ishq aag ka darya
Naadaa’n phir bhi ho betaab dil laganay ko