mujhe AsGhar GonDvii kaa yeh she’r yaad aa gayaa…jab jab space shuttle ko ‘lift-off’ hote huye dekhtaa huN to bhii mujhe yeh she’r yaad aa jaataa hai…what if the shuttle fails to lift-off and they can’t stop the booster rockets from firing, imagine the force that will be generated on the ground…zameen to phaT ke rah jaayegii na? to, she’r mulaaHizah farmaaiye: zaraa shaa’ir kii quwwat-e-bayaan to dekhiye:
kaun kahtaa hai k shaa’irii kaa ta’alluq science-yaat se nahiiN?
**uRaa huuN jab to falak pe liyaa hai dam jaa kar **
**zamiiN ko toR gayaa huuN jo rah gayaa huuN maiN
shaa’irii rocket science hii hai…har kisii ke bas kii baat nahiiN magar ‘aajkal’ ke sho’araa ne ise ‘ghar kii launDii’ banaa rakkhii hai…mujhe aajkal ke sho’araa se Khudaa vaaste kaa bai’r hai.
she’r_goii rocket science hai…she’r-fehmii ke liye rocket scientist honaa laazmii nahiiN…agar aisaa hotaa to Ghalib, Mir, Iqbal ke naam aaj zinda na hote. ‘aajakal’ ke sho’araa ke liye maiN kahuuNgaa k “jaisii unkii jalebii/daal-chaawal vaisii unkii faatiHaa!”
she'r_goii rocket science hai...she'r-fehmii ke liye rocket scientist honaa laazmii nahiiN...agar aisaa hotaa to Ghalib, Mir, Iqbal ke naam aaj zinda na hote. 'aajakal' ke sho'araa ke liye maiN kahuuNgaa k "jaisii unkii jalebii/daal-chaawal vaisii unkii faatiHaa!" :D
ab Ghalib ko log jante hain lekin unke aksar kalaam sir se ooper guzar jata hai.... her daur ka shayar apne daur ke rujhanaat ko dekh ke likhta hai aur tabhi maqbool o maroof hota hia.. aaj agar koi shayar Ghalib ye Iqbal ke jaise mushkil shayari kare to uska deewan doosre din hi pakoRe aur paan farosh ke kaam aa raha hoga
ab Ghalib ko log jante hain lekin unke aksar kalaam sir se ooper guzar jata hai.... her daur ka shayar apne daur ke rujhanaat ko dekh ke likhta hai aur tabhi maqbool o maroof hota hia.. aaj agar koi shayar Ghalib ye Iqbal ke jaise mushkil shayari kare to uska deewan doosre din hi pakoRe aur paan farosh ke kaam aa raha hoga
Ghalib to apne zamaane meN is qadar mash'hoor o ma'roof na the. unkaa kalaa unke intiqaal ke ba'd popular huye.
vaise, yeh hamaarii bad qismatii hai k hamaarii zabaan tanazzuli kaa shikaar hai...agar yehii Haal rahaa to vo din door nahiiN jab ham zabaan ke adab se haath dho baiTheNge.