abhi tak dil dharkta hai, abhi tak sans chalti hai
abhi tak ye meri ankhain suhanay khwaab bunti hian
mere honton ki junbish main tumhara naam rehta hai
abhi barish ki bondon main tumhara payar baqi hai
ussay ye bhi bata dena abhi izhar baqi hai
abhi yaadon ke kanton se mera daman ulajhta hai
tumhara payar seenay main kahin ab bhi dharakta hai
hawa ab bhi mawafiq hai hamaray saath chalti hai
ussay kehna judai ka abhi mausam nahin aaya
muhabbat ki kahani main kahin gham nahin aaya
magar sub kuch badalnay main bhala kaya dair lagti hai
kisi ki yaad dhalnay main bhala kaya dair lagti hai
naya sooraj nikalnay main bhala kaya dair lagti hai
ussey kehna
wo jaldi faisla kar le
nai raston pe chalnay main bhala kaya dair lagti hai !

bol ke lab azaad hai tere
bol zubaan ab tak teri hai
tera sutwa jism hai tera
bol ke jaan ab tak teri hai
bol...bol ke lab azaad hai tere
dekh ke ahangar ki dukaan main
tund hai shole surkh hai ahan
khulne lage kafalo ke dahane
pehla har ek zanjeer ka daman
bol...bol yeh thora waqt bahut hai
jism zubaan ki maut se pehle
bol ke sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kehna hai keh le
bol jo kuch kehna hai keh le