KahaN aa ker rukey thay raastey, kahaN mooR tha ussey bhool jaa
Woh jo mil gaya ussey yaad rakh, jo nahi mila ussey bhool jaa
Woh terey naseeb ki baarishieN jo kisi aur chut per barass gayeeN
Dil-e-bekhaber meri baat sunn, ussey bhool ja ussey bhool jaa
MeiN tou gumm tha terey dhiyaan maiN, teri aass maiN, terey gumaan maiN
Sabaa keh gaye merey kaan maiN, merey paas aa ussey bhool jaa
KiyoN aTTa hova hai ghubaar maiN, ghum-e-zindigi kay fishaar maiN
Woh jo darj tha terey bakht maiN, sou ho gaya ussey bhool jaa
Kisi aankh maiN nahi ashq-e-ghum, terey baad kuch bhi nahi hai kum
Tujhey zindigi ney bhula diya, tu bhi mushkara ussey bhool jaa
na woh aankh hi teri aankh thee, na woh khuaab hi tera khuaab tha
Dil-e-muntazir tou ye kiss liye tera jaagna ussey bhool jaa
Ye jo din raat ka hai khail sa, ussey dekh uss per yaqeen na ker
Nahi aqss koi bhi mustakil sar-e-aaina ussey bhool jaa
Jo bisaat-e-jaaN hi ulaT gaya, woh jo raastey se hi palaT gaya
Ussey rookney se husool kiya, ussey mut bulaa ussey bhool jaa
Tou ye kiss liye shab-e-hijar kay har siteerey maiN ussey dekhna
Woh falak kay jiss pe miley thay hum, koi aur thaa ussey bhool jaa
Tujhey chaand bann kay mila tha jo, terey saahilooN pe khila tha woh
Woh tha aik darya wisaal ka, sou uter gaya ussey bhool jaa*
– Amjad Islam Amjad
**