Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha

*Usey apney farda ki fiker thi wo jo mera wakif-e-haal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha

Kahan jao gay mujhe chor kar main ye pooch pooch k thak gaya
Wo jawab bhi na de saka wo to khud sarapa-e- sawaal tha

Wo jo us ke samne aa gaya wohi roshni mein naha gaya
Ajab us ki haibat-e-husan thi ajab uska rang-e-jamal tha

Dam-e-wapsi pe kia hua na wo roshni na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gaya wo to ap apni misaal tha

Sadion k baad mila b to merey lab pe koi gila na tha
Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha

Wo mujhe se mil k ro diya faqat itna wo keh saka
Jise jaanta tha wo zindagi wo to bas wahm-o-khayaal tha*

Zabardast Choice:) Usay Mairee Chup Nay Rula Diya Jisay Guftagoo Main Kamal Tha....................

Bahut umdaah … :k:

Re: Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha

Ever green ghazal babri :k:

Re: Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha

Beautiful Sharing Babri..:lajawab:

Re: Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha

Thank You Mudii, Arif, Being Lonely and Aryaan. :bb:

Re: Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha

v nice,1 of my all time favourite.