Ussey dekhney k bahanay banana

** Usse dekhnay k bahanay banana
Bahane bana ker unhain phir nibhana
Main bhoola kahan hoon
Wo dil ka dharakna
Wo apni kitabon se ji ka churana
Wo tasveer teri wo mera sirhana
Wo khabon main us se mulaqat kerna
Wo her dam her simt ussi ko pana
Mian bhoola kahan hoon
Tera hichkichana**
Wo masoom chehre pay qurban hona
Usse taktay rehna wo heran hona
Ussi justuju main pareshan hona
Wo thak haar ker phir pasheman hona
Main bhoola kahan hoon
Tera muskarana

** Wo chup chup sa rehna
Wo khinch khinch k rehna
Wo bar bar kerna wo anjan banna
Qayason ki dori se wo jaali bunna
Main bhoola kahan hoon
Wo sab haal apna …**

Re: Ussey dekhney k bahanay banana

wah
zabardast

Re: Ussey dekhney k bahanay banana

Beautiful......

Re: Ussey dekhney k bahanay banana

KhooB Hai :k:

Re: Ussey dekhney k bahanay banana

:k: nice sharing ts jee maza aa gaya :slight_smile:

Re: Ussey dekhney k bahanay banana

:k:

Re: Ussey dekhney k bahanay banana

*beautiful sharing :-) *

Re: Ussey dekhney k bahanay banana

what a sweet poetry! thanks for sharing it :)