Yeh Mashghala hai kisi ka, na jane kia chahay
Na faaslon ko mitae, na faisla chahay
Meri bisaat hai kia, main hoon barg e aawara
Uda ke le chale mujkho, jidhar hawa chahay
Jo asal chehra dikhata hai tarjumaN bun kar
Uss aainay ki taraf kon dekhna chahay
**
Hazaron doobne wale bacha liye lekin
Ussay main kaise bachaoN jo doobna chahay
**