ussay kehna

ussay kehna
abhi tak dil dharkta hai, abhi tak sans chalti hai
abhi tak ye meri ankhain suhanay khwaab bunti hian
mere honton ki junbish main tumhara naam rehta hai
abhi barish ki bondon main tumhara payar baqi hai
ussay ye bhi bata dena abhi izhar baqi hai
abhi yaadon ke kanton se mera daman ulajhta hai
tumhara payar seenay main kahin ab bhi dharakta hai
hawa ab bhi mawafiq hai hamaray saath chalti hai
ussay kehna judai ka abhi mausam nahin aaya
muhabbat ki kahani main kahin gham nahin aaya
magar sub kuch badalnay main bhala kaya dair lagti hai
kisi ki yaad dhalnay main bhala kaya dair lagti hai
naya sooraj nikalnay main bhala kaya dair lagti hai
ussey kehna
wo jaldi faisla kar le
nai raston pe chalnay main bhala kaya dair lagti hai !

Re: ussay kehna

Ahh..........
awesome Ali Bhai:)
Bohat Umdaa!!!

Re: ussay kehna

:k:

Re: ussay kehna

thanks :)

Re: ussay kehna

Bohat hi khoob Ali..:k:

Re: ussay kehna

Beautiful ALi ap b usay kahna :teary1:

Re: ussay kehna

awesome sharing :k:

Re: ussay kehna

kissay :faizy:

Re: ussay kehna

:aq:

Re: ussay kehna

bohat khoob ali :k:

Re: ussay kehna

:snooty: usay

Re: ussay kehna

Beautifulllllll..

Re: ussay kehna

Bohat Khoob :k:

Re: ussay kehna

thanks :)