Woh milta tau yeh kehtay …
Ke us ke bin nahe
Meri kuch haqeeqat hai
Aur phir adhoor sab
Meri masoom khushiyaan hain
Woh mita tau yeh kehtay …
Ke jab se woh gaya hai
Mera kuch bhi nahe hai
Aur jo bhi thaa mera pehlay
Woh sab us ka hogaya hai
Woh milta tau yeh kehtay …
Ussay hi dhoondnay nikleen
Mere lab ki sab dua’ein bhi
Ussay hi saamnay chaahain
Meri aankhain ab har pal hi
Woh milta tau yeh kehtay …
Woh shayad kuch nahe hoga
Sehar ko, shaam ko, shab ko
Sou us ke per-jewan mein
Ab tau kuch nahe baaqi
Woh milta tau yeh kehtay …