*Mere dard ki jo dawa kare koi aisa shakhs huwa kare
Woh jo be-panaah udaas ho, magar hijar ka na gila kare
Meri chaahatain meri qurbattain jissay yaad aaye qadam qadam
Tu woh sab se chup ke libaas-e-shab mein lipat ke aah-o-baka kare
Barhay us ka gham tu qarar kho de woh mere gham ke khayal se
Utthaaye haath apne liye tu phir bhi mere leye hi dua kare
Yeh qisaas ajeeb-o-ghareeb hain yeh muhabaton ke naseeb hain
Mujhe kaise khud se juda kare, ussay kuch batao ke kya kare
Kabhi tay kare yunhi soch soch mein woh firaaq ke faasilay
Mere peeche aa ke dabbay dabby meri aankhain moond hansa kare
Barha shor hai mere shehar mein kisi ajnabi ke nazool ka
Woh meri ji jaan na ho kaheen, koi kuch tu jaa ke patta kare
Bhalla kaise apne hi aks ko mein rafeeq-e-jaan bana sakoon
Koi aur ho tu bata tu de koi hai kaheen tu sadaa kare
**Ussay dhoondti hain galii galii, meri khilwatoon ki udaaseyaan**
Woh milay tu bas yeh kahoon ke aa mera Maula tera bhala kare*
Re: ~Ussay dhondati hai gali gali mere khilwatoon ki udaseyaan~
Lovely ghazal Amarbail:k: Amjad Islam Amjad sahab ki ghazal “koi aesa
shakhs huwa karey” ki kaafi jahalk hey is meiN. Lekin apni jaga ye ghazal khud aek
shaah’kaar hey. Thanx for sharing with us.