Kahaan aa ke rukay thay rastay, Kahaan mour thaa, ussay bhool ja
Woh jo mil gaya ussay yaad rakh, jo nahee mila, ussay bhool ja
Woh tere naseeb ki baarishain, kisi aur chatt per baras gaeen
Dil-e-bekhabar meri baat sun, ussay bhool ja.. ussay bhool ja
Mein tu gumm thaa tere hi dheyaan mein, teri aas, tere gumaan mein
Sabah keh gaee mere kaan mein, mere saath aa, ussay bhool ja
Kaheen chaak jaan ka rafo nahee, kisi aasteen pe laho nahee
Ke shaheed-e-raah-e-malaal ka nahee khoon baha, ussay bhool ja
Kyo atta huwa hai gubaar mein, gham-e-zindagi ke fishaar mein
Woh jo darj thaa tere bakht mein, so woh hogaya, ussay bhool ja
Na woh aankh teri aankh thee, na woh khwaab hi tera khwaab thaa
Dil-e-muntazir tau yeh kis leye, tera jaagna, ussay bhool ja
Yeh jo raat din ka khail sa, issay dekh, is per yaqeen na kar
Nahee aks koi bhi mustaqil, sar-e-aaenaa, ussay bhool ja
Jo bisaat-e-jaan hi ullat gaya, woh jo raastay se pallat gaya
Ussay rokne se hasool kya, ussay mat bula, ussay bhool ja
Tau yeh kis leye shab-e-hijr ke har sitaaray mein ussay dekhna
Woh falak ke jis pe milay thay hum, koi aur thaa, ussay bhool ja
Tujhe chaand ban ke mila thaa jo, tere saahiloo pe khaila thaa jo
Woh thaa ek dareya wisaal ka, so uttar gaya, ussay bhool ja
[A.I.A]