Ussay bhool jaa, bhool jaa, bhool jaa !!!

Ay dil-e-bekhabar
Jo hawa jaa chuki ab nahee aaegi
Jo shajar toot jaata hai phalta nahee
Wapsi mausamoo ka muqqadar tu hai
Jo samaa beet jaaye palat’ta nahee
Jaanay walay nahee laut’tay umer bhar
Ab kissay dhoondta hai sar-e-rahguzar
Ay dil-e-kam nazar, Ay mere bekhabar
Ay mere hamsafar, Ay dil-e-behunar
Garam sansoo ki woh khushboe’in bhool jaa
Woh chehkti huwi dharkanain, bhool jaa
Bhool jaa narm hontoo ki shadabeeyaan
Harf-e-iqraar ki lazzattain bhool jaa
Bhool jaa woh hawa, bhool jaa woh nagar
Kaun jaanay kahaan roshni khoo gaee
Lut gaya hai kahaan karwaan-e-sehar
Ab kahaan geso’ooun ke woh saaye
Kahaan uski aahat se chamkay baam-o-dar
Ay dil-e-besabar
Rang-e-aasoodgi ke woh tamaashay kahaan
Jhutpatta hai yahaan rahguzar rahguzar
Woh tu khushboo thaa, aglay nagar jaa chuka
Ab kissay dhoondta hai, aray be-khabar
Jaanay walay nahee laut’tay umer bhar
Ay dil-e-kam nazar, Ay mere charaagar
Ay mere hamsafar,
Ussay bhool jaa, bhool jaa, bhool jaa !!!
:teary2: :teary3: :teary2:

Arif!! very impressive, very touching, thanks.

Re: Ussay bhool jaa, bhool jaa, bhool jaa !!!

beautiful by Amjad Islam Amjad:k::k::k:
thanks but bohlna itna asan to nahi:(
~
na jane konse guzare hoae lamhay ka saya hai
her aik mehfel mein jana aur phir tanhaee likhna
:frowning:

Thanks a lot ** AG and GKK**

Sahi kahaa, bhoolna hamaare bas mein nahee

**
Hum ajeeb tarz ke log thay, ke hamaaray aur hi rog thay
Mein khizaan mein thaa us ka muntazir, ussay intezaar-e-bahar tha **

Great Arif and thanx for welcoming me into the forum, it sure was a big help. :)

Meri Talab, woh jo aik shaks nahi mila tau phir
Haath dua sai yun gira, bhul gaya sawal bhi

umeed pe duanyaa qaaem hai :~)

nice though